Saturday, August 28, 2010

>> " Jiwan " kya haiN ??

ek diN baithe-baithe maiNe socha,
kuch samjh na aaya toh dusarooN se pucha...
ki " Jiwan " kya haiN ??

bhav-sagar ka zaL haiN,
vartmaan haiN ya bhutkaL haiN
jeeNe ki kala haiN yaa faltu ka jaNjaaL haiN
aakhir yeh jiwan kya haiN.. ??

jawab paane maiN har jagah ghoom aaya
mandir..maszeed har dawar dund aaya
aur ek arsee ke baad maiNe jawab paya,
tab meri samjh meiN sab kuch aaya...

chaliye aap ko bhi kuch samjhata huN..
meri kahani ka saraNsh sunata huN..

k jindagi kabhi khusi,kabhi gam haiN
fir bhii yeh sab ke liye kam haiN
isme prakash haiN, andhkar haiN
Jindagi sukh-dukh se bhara ek sansar haiN.

-->> my own


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meaning of my typical words

[ bhav-sagar = Fake world, zaL = water, jaNjaal = crap thing, vrtmaan = Present, bhutkaaL = past, dawar = door, SaraNsh = conclusion, andhkar = darkness, Sansar = world ]

No comments:

Post a Comment